aap mujhe bachcha mat kahiye main kya jaanun bachpan kya hai ghar kya ghar ka aangan kya hai jo kuchh hai footpath hai apna janam janam ka sath hai apna han kuchh din school gaya hun lekin sab kuchh bhul gaya hun sahab ke jute chamkaun hotel hotel paya jaun garage garage kaam karun main mehnat subh-o-sham karun main sadkon par kartab dikhlaun local train mein gana gaun sal mahine ghadiyan bechun mele mein phuljhadiyan bechun aap mujhe bachcha mat kahiye