shishe ke nazuk bartan mein sabun ghol rahi hai nannhi gudiya narkul ki nazuk phukni se phunk rahi hai ghubbare har ghubbara ek khwab sa ban kar tair raha hai kamre mein kamre ki diwaron se takra takra kar tut raha hai main khamosh apne kamre mein ye khel-tamasha dekh raha hun us ke nazuk honton ki nazuk si shararat dekh raha hun ye dekh raha hun hasti apni do-chaar nafas ki hasti hai main bhi ek shishe ki diwar hun jis ke pichhe baithe ab tak nanhe-munne bachche khel rahe hain kankar patthar phenk rahe hain shishe ke nazuk bartan mein sabun ghol rahi hai nannhi gudiya narkul ki nazuk phukni se phunk rahi hai ghubbare har ghubbara ek khwab sa ban kar tair raha hai kamre mein kamre ki diwaron se takra takra kar tut raha hai