main ahd-e-rafta ko dhundhta hun nai kitabon ke mabadon mein purane lafzon ko pujta hun main manzar hun bashaaraton ka meri zaban par main subh-e-nau ke ufuq ke nae jahan ke nae tarane purani qabren chatakh rahi hain diye bujhao ki surkh suraj ubhar raha hai dilon mein koi utar raha hai nae purane hain lafz meri zaban pe lekin main un ki lazzat se be-khabar hun main be-hunar hun main surkh bhi hun main sabz bhi hun main kuchh nahin hun