jahan mein hai ziya meri main husn-e-jalwa-kar hun main raunaq is chaman ki hun main fasl-e-nau-bahaar hun main zeb-e-kaenat hun main fakhr-e-rozgar hun main shahid-e-nahufta ka jamal-e-ashkar hun ki aaine mein dahr ke main aks-e-kirdgar hun kalim ko main apna rukh na be-khatar dikha saka suragh mere nur ka na koh-e-tur pa saka na main nazar mein aa saka na aql mein sama saka khayal mere auj par na par laga ke ja saka main hisn-e-be-shikast hun main rah-e-be-guzar hun padi hai ek khafif si nujum par kiran meri ki rakhti hai tawaf mein sada unhen lagan meri chhupi hijab-e-quds mein hai sham-e-anjuman meri sitare jal ke khak hon jo dekh len phaban meri main ganj-e-ab-o-tab hun main bahr-e-nur-o-nar hun ye chandni ki thandaken ye dhup ki hararaten ye subh ki sabahaten ye sham ki malahaten zamin ki ye zinaten falak ki ye latafaten ye bijliyon ki shokhiyan ye baadalon ki rangaten ye rang-rup hain mere main in mein aashkar hun har ek shakh-sar mein mujhi se aab o rang hai phapakte hain darakht jo ye meri hi umang hai phudakte hain parind sab mujhi se ye tarang hai karishme dekh kar mere har ek aql dang hai hain khel nit-nae mere main wo tilism-kar hun gulon ke rang rang se ayan hain jhalkiyan meri chaman ke ghunche ghunche mein shamim hai nihan meri zaban pe patte patte ki rawan hai dastan meri surang paud paud ki jadon mein hai dawan meri main ruh-e-sabza-zar hun main nazish-e-bahaar hun