khudaya aarzu meri yahi hai ye hasrat dil mein karwat le rahi hai banun kamzor logon ka sahaara dukhi logon ko dun har dam dilasa zaifon be-kason ke kaam aaun gharibon muflison ke kaam aaun main apne doston ka dukh uthaun jo ruthe hon unhen hans kar manaun burai se sada ladta rahun main bhala har kaam hi karta rahun main hamesha alam se rakhkhun mein ulfat kitabon se sada rakhkhun mohabbat jo bhatke hon unhen manzil dikhaun jo aandhe hon unhen rasta bataun karun man bap ki dil se main khidmat rakhun ustad se apne mohabbat buzurgon ki nasihat par karun main main nafrat ke charaghon ko bujhaun diya amn o mohabbat ka jalaun karun apne watan ki pasbani ata karna mujhe wo naujawani khudaya aarzu kar de ye puri yahi bas iltija hai tujh se meri