are pyare bachcho zara dhyan do meri baat ko ghaur se tum suno ye basti ye bazar sadken tamam mashinon ki badhti hui dhum-dham ye motor ye railen ye nahron ke haal karishme ye bijli ke din ki misal ye sarsabz kheti ye sauda-gari zamane ki chizen ye achchhi buri kitabon ke ambar ye ilm-o-fan ye ghunche shagufe chaman-dar-chaman dahakte mahakte hue lala-zar gulistan ki ye raunaqen pur bahaar gharaz jo bhi duniya mein hai sar-basar wo insan ki mehnaton ka hai samar karoge agar tum bhi mehnat se kaam to paoge duniya mein aala maqam