thaka-haara azal ki wusaton mein khak ka putla hazaron man ki tariki tale tha sakit-o-jamid har ek zi-ruh ki nazron ka markaz, maujib-e-hairat chamakte nuriyon ki shaukat-e-betab ka shahid ghadi mein kya hua kyun is qadar mitti ke paikar ne ajab larza, ajab jumbish, ajab harakat se bal khaya khanakti khak ne kyun kanpne ki ibtida kar di na jaane reza-e-jaan mein samundar kyun umad aaya kisi sayyal madde ka bahut shaffaf sa qatra gira aur khub gaya, is khak ke be-laus tukde par chubhan mein khar tha lekin jalan mein nar ki surat diye raushan hue, phaili ziya wijdan ke andar phir ek aawaz! shayad tha sada-e-kun se ghul barpa usi sayyal madde se bana ek jazba-e-sozan ki jis ke sath thi biphre hue ehsas ki sozish hua us din se hi kar-e-murawwat rezish-e-pinhan mohabbat ki rutubat ne talatum-khez gardish ki surud-e-himmat-e-ali usi mizrab se phuta bahut nazuk, shagufta, tez-tar tasir thi us mein ki sang-e-bad-gumani bhi usi billor se tuta usi jauhar ki jumbish se to ghairat sar uthati hai sitam ke zahr ka tiryaq aakhir sanch banta hai wafa ki aanch, armanon ka indhan tez karta hai yahi jauhar pighalta hai yaqin ka kanch banta hai