kisi ki tabiat mein pindar-e-masti kisi ko ghurur-e-jawani ki masti koi mast mai-khana-e-khud-parasti amiron ki duniya takabbur ki pasti farebon ke sae mein dera hai un ka gunahon ke ghar mein basera hai un ka koi apne zor-e-hukumat pe nazan koi mal-o-daulat ki kasrat pe nazan koi apne aiwan ki rifat pe nazan koi hashmat-o-jah-o-sarwat pe nazan wo nasha chadha hai ki bhula khuda bhi ye sunte nahin bekason ki dua bhi jo nayab shai ho use dhund laen jo marghub-e-khatir ho wo chiz khaen jo garmi ko chahen to sardi banaen udain pahadon ki thandi hawaen zamane mein chalti agar hai to un ki yahan dal galti agar hai to un ki hai dushwar un ko bulandi na pasti amiron ki duniya mein mahngi bhi sasti na dekhi unhon ne kabhi faqa masti ye hain be-niyaz-e-gham-e-tang-dasti ye muflis ki mushkil ko kya jaante hain ye nadar ko khak pahchante hain guzarti hai shab jo hawas-raniyon mein to katta hai din fitna-samaniyon mein ye hain mast apni tan-asaniyon mein zamana hai in se pareshaniyon mein gharibon ke haq mein bala banne wale yatimon ke haq mein qaza banne wale zamana ho zach jis se wo chaal kar den jo mumkin ho duniya ka pamal kar den agar ho sake sab ko kangal kar den jo khush-haal hon un ko bad-haal kar den gharaz un ke dil hain mohabbat se khali ukhuwwat se khali inayat se khali jo bole koi to zaban kat dalen jo dekhe koi us ki aankhen nikalen nahin un se mumkin kisi ko sambhaalen koi mar raha ho to us ko bacha len magar shukr hai 'arsh' fazl-e-khuda ka wo khallaq hafiz hai har be-nawa ka