chup khade darakht se mere shane chhute hue khushk patte girte hain be-nur dhup aur be-rang mausam ruk ruk kar chalti hawa har shai udas hai zamin aasman manzar sab baen jaanib koltar ki wo sadak hai jo sabz-o-siyah darakhton ki qatar ke darmiyan dur tak bal khati chali gai hai daen jaanib nawab ki purani haweli jis mein ab market hai samne fence ke us par school ki imarat jis ke gate par malti ki bel ke zer-e-saya ek git hai git jo milne aur bichhadne rone aur gane jine aur gham uthane ke bare mein hai git jo faqat bichhadne ke liye milne faqat rone ke liye gane aur faqat gham uthane ke liye jine ke bare mein hai git jo zindagi masarraton ka kaisa be-rahm chhalawa hai taham gila ki ye itni mukhtasar hai udas dopahar sune park ki bad-rang bench par kab se baitha hun faza mein ek git ki bazgasht sunta hua shad nashad