aasman mein aag

pedon ke patte
jalti dopahron ko

aane jaane walon ko
saya dete hain

apne hone ka elan nahin karte
sae ka elan nahin karte

main ghar se bichhda tha jab
to aksar

barson
jalti dhup mein

un ki shafqat ke sae mein soya tha
kuchh din se

dur dur tak aasman mein aag
dur dur tak pyase jalte-bujhte log

baadal barish
sabza patte paude ped

bhule-bisre khwab
dur dur tak shoalon ke tufan ka mausam aaya

sab ke sir par
aane wale mausam ke elan ka ghatta-badhta saya

ye kaisa mausam aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close