aao aaj se hum bhi khauf khauf ho jaen khauf bhi to nashsha hai khauf bhi to quwwat hai khauf ke liye bhi to jaan ki zarurat hai aao apni taqat ko hum bhi aazma dekhen khauf khauf ho jaen khud-numai ke tewar dhang parda-dari ke ham-nawai ke dawe rang dushmani ke sab, khauf ki alamat hain qurbaton ki khwahish mein sar-giraniyan kya kya duriyon ke haq mein bhi marke dalael ke ek aankh lazzat hai ek aankh wahshat hai hum ne donon aankhon se koi shai nahin dekhi aao donon aankhon ko band kar ke rakh chhoden aur phir koi bhi shai soch len ki aisi hai khauf khauf ho jaen