hamein bhi ro le hujum-e-girya ki phir na aaenge gham ke mausam hamein bhi ro le ki hum wahi hain jo aaftabon ki bastiyon se suragh lae the un saweron ka jin ko shabnam ke pahle qatron ne ghusl bakhsha safed rangon se nur-e-mani nikal lete the aur chandi ujalte the shafaq pe thahre sunahre baadal se zard sone ko dhaalte the khunuk hawaon mein khushbuon ko mila ke un ko udane wale saba ki parton pe sher likh kar adam ki shaklen banane wale dimagh rakhte the lafz o mani ka aur dast-e-hunar ke malik waqar-e-nur-e-charagh hum the hamein bhi ro le hujum-e-girya hamein bhi ro le ki hum wahi hain jo tez aandhi mein saf chehron ko dekh lete the aur sanson ko bhanpte the falak-nashinon se guftuguen thin aur pariyon se khelte the karim logon ki sohbaton mein kushada ku-e-sakha ko dekha kabhi na roka tha hum ko suraj ke chobdaron ne qasr-e-baiza ke dakhle se wahi to hum hain wahi to hum hain jo lut chuke hain hafiz rahon pe lutne wale usi falak ki siyah-zamin par jahan pe larzan hain shor-e-nala se aadilon ki sunahri kadiyan hamein bhi ro le hujum-e-girya hamein bhi ro le ki in dinon mein hamari pushton pe bar hota hai zakhm-e-taza ke surkh phulon ka aur gardan mein sard aahan ki kohna ladiyan hamari zid mein safed nakhun qalam banane mein dast-e-qatil ka sath dete hain aur neze uchhaalte hain hawa ki lahron ne reg-e-sahra ki tez dhaaron se rishte jode sharir hathon se kankaron ki siyah barish ke rabte hain hamari zid mein hi mulkon mulkon ke shahryaron ne ahd bandhe yahi ki hum ko dhuen se bandhen aur ab dhuen se bandhe hue hain so hum pe rone ke nauha karne ke din yahi hain hujum-e-girya ki mustaid hain hamare matam ko gahre sayon ki sard shamen khizan-rasida tawil shamen hamein bhi ro le hujum-e-girya ki phir na aaenge gham ke mausam