logo mujhe salam karo main wazir hun gardan ke sath khud bhi jhuko main wazir hun gardan mein haar dal do main jhuk sakun agar nare bhi kuchh buland karo main wazir hun tum hathon-hath lo mujhe daure par aaun jab motor ke sath sath chalo main wazir hun likkhe hain shairon ne qasaed mere liye ek aadh nazm tum bhi kaho main wazir hun jo mujh se kahne aao khabar-dar mat kaho jo kuchh main kah raha hun suno main wazir hun mazur hun main apni wazarat se be-tarah tum tarah-dar mujh ko kaho main wazir hun be-shak hai barhami si meri guftugu ke beach lekin adab se baat suno mein wazir hun main wo nahin ki yusuf be-karwan phirun mera julus le ke chalo main wazir hun akhbar walo soch samajh kar karo sawal jo shisha mere munh na lago main wazir hun mujh se qarabaton ko bas ab bhul jao tum ai mere bhai band gadho main wazir hun mujh ko to mil gai hai wazarat ki zindagi marte ho tum to jao maro main wazir hun