aatish-bazi ke khel khelne walo tum kya jaano parinda bhi khwab dekhta hai mohabbat ke pyar ke aur amn ke khwab jaante ho jab us ke khwabon mein barud ki bu bas jae to khwabon ki diwaren bharbhari ho kar bikharne lagti hain parinda ruth jata hai sab se apne aap se bhi parinda sahma sahma gum-sum sa phirta hai be-khwab aankhon se har chehre ko takta hai aatish-bazi ke khel khelne walo tum kya jaano parinda khwab na dekhe to zamin se aasman tak hawa ke kase mein kale dhuen ke siwa kuchh na rahe din bhi kali raat ban jae parinda mar jae parinda mar jae