id mehndi ka khushiyon ka rangon ka khushbu ka aur kanch ki chudiyon ki khanak mein basi aarzuon ka ek nam hai id inam hai id ummid hai id tajdid hai id jaise koi raushni ki kiran ek wade kahani fasane ki ya hijr mausam mein lipte hue wasl ke dukh ki tamhid hai id ummid hai ek ghar mein to khushiyon ka saman hai ek ghar mein magar dukh ka tufan hai id hairan hai id hira nahin id moti nahin id hansti nahin id roti nahin ek aangan kahin koi aisa bhi hai jis mein shahzadi sadiyon se soti nahin shahzade ki jab did hoti nahin id ke din bhi phir id hoti nahin