zamir-e-waqt ki aawaz ruh-e-asr ka karb samete daman-e-dil mein na jaane kab se tha hisar-e-jabr-o-sitam mein dukhon ki basti mein jalae shama-e-qalam ham-kalam shab se tha harif-e-sunnat-e-azar kalim-e-jada-e-fan sanam-kade mein mukhatib buton ke rab se tha wo apne ahd ka mansur harf-e-haq ka naqib salib-e-waqt pe faez wo shakhs kab se tha wo lab jo harf-e-sar-e-dar ka mughanni tha jo naghma-khwan sar-e-maqtal raha ujalon ka ho nazm ya ki ghazal mukhtalif wo sab se tha kamal pyar use mansab-e-adab se tha wo ek shakhs jise jaan-e-fikr-o-fan kahiye jamal-e-dida-wari hurmat-e-sukhan kahiye wo ek shakhs jise mashal-e-nawa kahiye wo ek shakhs jise nur ka asa kahiye jalae shama-e-qalam ham-kalam shab se tha salib-e-waqt pe faez wo shakhs kab se tha