agar qarib se dekho to jaan logi tum jahan hai sanp ki surat wajud se lipta na karwan na manazil na rahguzar na safar hayat jaise khada ho koi shajar tanha dilon mein pyas tadapti hai raat din apne bhari hui hai alam-nak yas aankhon mein siyah bhuton ki manind jag uthte hain ye be-sukun se manazir udas aankhon mein tumhein hai khauf ki jwala bhadak uthe na kahin main sochta hun jala dun kisi tarah khud ko tumhein hai fikr ki jine ka aasra ho koi main chahta hun mita dun kisi tarah khud ko raqiq aag ne sinon ko rakh kar dala wajud kanp rahe hain shikast khae hue koi pahad koi ban talash karte hain dimagh bar-e-masaib ka gham uthae hue pighal rahe hain usulon ke aahani paikar hisar karb ki sulgi hui fasilon par kuchh is tarah hain shab-o-roz gard-aluda tange hun jaise purane libas kilon par agar qarib se dekho to dil ki basti mein na hausle na umangen na garmiyan baqi gunahgar fazaon ki qatl gahon mein haqiqaton ka pata hai na dastan baqi