kaun aaega! shab-bhar girte patton ki aawazen mujh se kahti hain kaun aaega! kis ki aahat par mitti ke kan lage hain! khushbu kis ko dhund rahi hai! shabnam ka aashob samajh aur dekh ki in phulon ki aankhen kis ka rasta dekh rahi hain kis ki khatir qarya qarya jag raha hai suna rasta gunj raha hai kis ki khatir!! tanhai ke hol-nagar mein shab-bhar girte patton ki aawazen chunta rahta hun apne sar par tez hawa ke nauhe sunta rahta hun