hai dilati yaad mai-noshi faza barsat ki dil badha jati hai aa aa kar ghata barsat ki bandh gai hai rahmat-e-haq se hawa barsat ki nam khulne ka nahin leti ghata barsat ki ug raha hai har taraf sabza dar-o-diwar par intiha garmi ki hai aur ibtida barsat ki dekhna sukhi hui shakhon mein bhi jaan aa gai haq mein paudon ke masiha hai hawa barsat ki hon sharik-e-bazm-e-mai zahid bhi tauba tod kar jhumti qible se utthi hai ghata barsat ki asl to ye hai mai-o-mashuq ka jab lutf hai chandni ho raat ko din ko ghata barsat ki wo papihon ki sadaen aur wo moron ka raqs wo hawa-e-sarw aur kali ghata barsat ki par utar jaenge bahr-e-gham se rind-e-baada-nosh le udegi kashti-e-mai ko hawa barsat ki khud-bakhud taza umangen josh par aane lagin dil ko garmane lagi thandi hawa barsat ki wo duaen mai-kashon ki aur wo lutf-e-intizar hae kin nazon se chalti hai hawa barsat ki main ye samjha abr ke rangin tukde dekh kar takht pariyon ke ud lai hawa barsat ki naz ho jis ko bahaar-e-misr-o-sham-o-rum par sar-zamin-e-hind mein dekhe faza barsat ki