khari baaton ka zaiqa tursh hota hai ba-hasiyat insan aurat ki zarurat kisi mard ko nahin wo girwi rakhi jae ya bech di jae kirae pe li jae ya yak-musht kharid li jae us ke khayalat ki bandar-bant mumkin nahin hukm ki pabandi ka tauq pahan kar jiwan ki kutiya ka kiraya ada karte hue agar aurat kama sakti to lati mard ke liye kharid kar wo hausla ki jis se wo apna chehra us ke khayal aaine mein dekh sakta na-khush tamam baaton ko insaf ke palde mein taul sakta adam-e-tahaffuz ke pinjre mein tisre darje ke qaidi ki haisiyat se agar aurat kama sakti to lati mard ke liye kharid kar wo mohabbat jo us ki fitri zarurat se mawara hoti agar aurat kama sakti to