chaunk kar uth baithti kyon hain ye aankhen nind se dhundhti hain phir wahi mubham sa paikar putliyon mein band aankhon ki jo aa kar baith jata hai bahut hi shauq se khwab ye kaisa hai dhundlaya hua naqsh aari jis ke apni sakht se aankh ke parde pe ubhre khwab mein janmi hui mahdud khwabon hi talak kya hayula hai usi ka jo mukammal ho nahin pai kisi bhi sarzamin pe har taraf pahra kada sochne ki sari quwwat aur binai hamari in pe kundali mar kar jhuti riwayat ki chamak baithi hui laplapati hai zaban bain jari ya ki ek zakhmi hansi honton pe hai bikhri hui shash-jihat hai jashn mera aur main hi qaid mein