aaya hai naya sal

ithlata hua jhum ke aaya hai naya sal
lahraata hua jhum ke aaya hai naya sal

aaya hai naya sal
ai sai-e-musalsal tere eajaz ke sadqe

hasil ko gae sal ki mearaj mubarak
kirnon se andhere ki qaba kholne wale

aaghaz ko is sal ka ye aaj mubarak
paigham kai tarah ke laya hai naya sal

inam kai tarah ke laya hai naya sal
aaya hai naya sal

be-laus mohabbat ke ukhuwwat ke karam se
har samt jidhar dekhen masarrat ki faza hai

afsana-e-jamhur ki rangin haqiqat
tahzib-o-tamaddun ki murawwat ki faza hai

har dil ke rag-o-resha pe chhaya hai naya sal
har zehn ke aaine pe chhaya hai naya sal

aaya hai naya sal
paikar the rifaqat ke watan-dost sarasar

maidan-e-taraqqi mein hamesha jo baham the
chalte rahe har haal salabat ki dagar par

wabasta-e-manzil wo hamare hi qadam the
jhela hai jo ek sal to paya hai naya sal

khoya hai jo ek sal to paya hai naya sal
aaya hai naya sal

nairangi-e-afkar-o-aqaed se labaalab
har chand ranga-rang hai paimana-e-jamhur

ek ruh-e-watan husn-e-saqafat ke karam se
yak-rang hi yak-rang hai mai-khana-e-jamhur

kirdar-e-musawat ka jaya hai naya sal
ik-tarfa karamat ka jaya hai naya sal

aaya hai naya sal
lazim hai ki aamal ko ek aisi ada den

jamhur ke kirdar ko kuchh aur utha den
nafrat ko tassub ko tah-e-khak sula den

tafriq ka takhrib ka har naqsh mita den
har tesha-e-tamir ko mehnat ki jila den

tadbir se jamhur ki taqdir bana den
hum kya hain sar-e-dast zamane ko bata den

har khwab ko tabir ki sarhad se mila den
kis aan se kis ban se aaya hai naya sal

han dekhiye kis shan se aaya hai naya sal
aaya hai naya sal

aaya hai naya sal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close