ghazal sadaon ka ek jangal taras raha hai buland-o-baala ghanere bargad ki shakh-dar-shakh sansanahat ke zamzamon ko ki dar-haqiqat buland-o-baala ghanere bargad ki infiradi tanawari ko fana ki dimak nigal gai hai ghazal jo urdu adab ke barr-e-saghir par thi nae taqazon nae saliqon ka ek himala-sifat sarapa wo apni choti se munqata hai ki ab wo choti nahin rahi hai ghazal ki is aabru ke badle bas ab to yaadon ki khalwaton mein sulagti sochon mein sans lete chand ek fasane mataa-e-ahbab rah gae hain wo chand barson ki ek rifaqat jo rasm-o-rah ke atut sangam mein dhal chuki thi bas ek lamhe ki tund karwat ne chhin li hai harim-e-dil karb-gah-e-izhaar ban gai hai labon pe ab mohr-e-khamushi hai kise sunaen wo dil ki dhadkan jise jawabon ka iltifat-e-shuur-angez be-mahaba jhinjhod kar us ki fikriyati amiq parton mein soi soi si ruh-e-ehsas ko jagae junun ko mahmez-e-gham dikhae parind-e-takhil ko udae khala ki iqlim ka musafir jahan wo uth kar chala gaya hai wahan khala ka sawal kya hai khala to ab us ke pichhe pichhe hi rah gaya hai jahan hum aise faqir tahlil ho ke 'rahi' wajud bhi apna kho chuke hain bahut mukafat-e-be-wajudi ko ro chuke hain