qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo lagan thi jis ki wo aakhir swaraj le hi liya ghulamiyon se chhute takht-o-taj le hi liya khud apne hath mein sab raj-kaj le hi liya nae wikas ka bida bhi ab utha ke chalo qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo watan ki apni zamin aasman ke ham-sar hai ki taj koh-e-himala ka is ke sar par hai isi watan ka parastar khud jawahar hai isi ki jai ke zara git gungunate chalo qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo wo dekho haq ki samadhi se lau nikalti hai ki jis se prem ki jyoti dilon mein jalti hai usi ke nur se insaniyat bhi dhalti hai kiran se is ki andheron ko jagmaga ke chalo qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo hazar mushkilen ek jast mein ubur karo har ek rode ko thokar se chur-chur karo jo dale rakhna use raste se dur karo diler ho to musibat mein muskura ke chalo qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo jo zat-pat ke bandhan banae baithe hain alag alag jo gharaunde basae baithe hain jo ekta ki haqiqat bhulae baithe hain wo so rahe hain abhi tak unhen jaga ke chalo qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo rahim-o-ram pe takrar ye shararat hai khuda ke nam pe takrar ye shararat hai dua salam pe takrar ye shararat hai tumhein qasam hai watan ki ye shar mita ke chalo qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo nae wikas se hum desh ko banaenge jahan hai ret wahan khet lahlahaenge chaman-chaman mein nae phul-phal khilaenge nai umang se dil aur nazar saja ke chalo qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo