zamin ghumi hawa badli chalo mausam badalta hai 'salim' ab tum pahadon se utar aao wo dekho chiyuntiyon ke par nikal aae kaise udti phir rahi hain aaj shan-e-be-niyazi se ki jaise mutmain hain makdiyon ki sarfaraazi se 'salim' ab tum pahadon se utar aao tumhaari dur ki aawaz kaise gunj ban kar palat aai hai jaise bastiyon ke sabhi ghar hue hain koi hathiyar bhi salim nahin nukile dant kante dank nakhun hifazat ke sabhi saman jaise chhin gae hain tabhi to zalimon se chand roza aafiyat ki bhik pa kar khuda ki god mein be-fikr sote hain samajhte hain ki mazlumi ka ye bahrup hi fiqara-e-qanaat ka badal hai koi patthar uthae khinch mare dikhawe ke liye patthar utha kar chum lenge ye kis duniya mein baste hain ye kis ka pas rakhte hain khud apni maut ki nazzargi ka zakhm de kar darindon ki nigahon se uluhi raushni ki aas rakhte hain 'salim' ab tum pahadon se utar aao tumhaare raaz tum hi jaante ho sab kuchh jhut hai ek dhong hai hum mein koi ayyub hai budh hai husain-ibn-e-ali aur na isa hai bas itna hai zamir apna kabhi ka bik chuka hai andhere ki panah-gahon mein sehr-e-samri se aaj sab mabhut hain hath panw zehn sab mafluj hain sone ka bachhda bolta hai