aaj bhi tere liye sozish-e-gham kam to nahin zakhm-e-dil par tere hamdam koi marham to nahin tu jo phulon ki tarah phul kar itraata hai dekhna yar tere jam mein shabnam to nahin hind ki ye shab-e-mahtab bahut khub sahi qalb-e-anjum ka magar dard abhi kam to nahin chandni-raat ke wade bhi wafa hote hain ai gham-e-dil ye sabab laeq-e-matam to nahin tishna-kaami mujhe majbur to karti hai magar tere saghar se jhijakta hun kahin hum to nahin tu ne aasudagi-e-shauq se khaya hai fareb qalb-e-shair mein jo dhadkan hai wo maddham to nahin aaj 'masud' ki palkon pe diye hain raushan sathiyo un ke sitaron se magar kam to nahin