zara dekho to man pedon pe chidiyan khushi ke git kaise ga rahi hain batao kab tak aaega wo din man ki main gaunga aazadi ke naghme mere bete na ho mayus hargiz nadi jaise pahadon se utar kar samundar ki taraf chalti hai sarmast ki makkhi shahd ki jaise dam-e-sham palatti hai to chhatte hi ki jaanib bahut tezi se badhta ja raha hai use roke bhala kis mein hai taqat use toke bhala kis mein hai jurat mere bete yaqin kar ek din tu isi chidiya ki surat hoga aazad qafas ki tiliyan tutengi ek din fazaen qaid se chhutengi ek din nai manzil ki khatir mere jaanbaz kisi taza safar ka hoga aaghaz