kahne ko to chaar hain mausam panchwan mausam banjar-pan ka jis mein fikr ke sare tair harf ki shakh se ud jate hain jis mein lafz ki khushbu sarsar le jati hai be-rangi aur be-kaifi ke in banjh palon mein khali-pan mein subh se le kar sham talak yas ki tan pe nach nach ke jism ko bojhal kar dete hain fikr-o-khayal ke sare paikar nilahat ke gahre ghaar mein gir jate hain dhire dhire sare sabz gulabi mausam kali raat mein dhal jate hain aankhen bhi to ek mausam hain meri aankhen panchwan mausam jin mein koi khwab nahin hai lab yaquti lekin in par teri yaad ki bas nahin hai jism hai bojhal ruh pareshan fikr akeli aur is dil mein ek hi dhadka ab kuchh hoga kab kuchh hoga