to mujh ko ham-nashin apna ladakpan yaad aata hai kabhi khali classon mein jo bachche ghul machate hain kisi anjaan shair ki ghazal mil jul ke gate hain khushi se nachte hain desk par tabla bajate hain to mujh ko ham-nashin apna ladakpan yaad aata hai hua karti hai jab chhutti to chanchal sar-phire khud-sar liye hathon mein baste marte footbaal ko thokar uchhalte kudte bachche nazar aate hain sadkon par to mujh ko ham-nashin apna ladakpan yaad aata hai kabhi is shakh se us shakh par bachche uchhalte hain kabhi shakhon pe jhule dal kar zalim machalte hain saman ye dekh kar man bap ke sine dahalte hain to mujh ko ham-nashin apna ladakpan yaad aata hai koi shagird jab sathi ko apne gudgudata hai wo sathi ho ke aajiz samne fariyaad lata hai class us bebasi par chupke chupke muskuraata hai to mujh ko ham-nashin apna ladakpan yaad aata hai hazaron shokhiyan hoti hain bachpan ke zamane mein chubho kar pin koi bachcha kisi bachche ke shane mein hua karta hai jab mashghul tanzan muskurane mein to mujh ko ham-nashin apna ladakpan yaad aata hai