ji mein aata hai hum bhi udanen bharen aasanon ki nili hadon ko chhuen sagaron aur nadiyon mein ghaltan rahen shahr mein ganw mein jangalon mein phiren ji mein aata hai phulon ki rapngat kheton ka hasin bankpan bansuri ki wo tanen papihon ke bol raqs karti hui in fazaon ki madhoshiyan kar-khanon ki hangama-araiyan bhuke pyase mahlon ki viraniyan dard ki hasraton ki ye tarikiyan sari mahrumiyan sari majburiyan apni hasti mein bhar len subh-dam narm-o-taza bahaaron ke masrur jhonke hum ko tarik aur gham-zada raat ki uljhanon wahshaton se dila den najat jin mein sadiyon se hai qaid apni hayat nai-o-taza hawaon ke masrur jhonkon mein shakti kahan ki tauq-o-dar-o-rasan se wo aazad kar den apni aazadi hum ko hi pani padegi jaan ki dil ki bazi lagani padegi zimmedari aham hai uthani padegi aaj diwar-e-zindan dhani padegi apni sanson ki garmi se khwabon ki lau se apne ashkon ke zahrab se apne armanon ki lamha lamha dahakti hui aag se tauq ko aur zanjir ko qaid ko aur jallad ko zalimon ki kamin-gah ko in andheron ke dahshat-zada unche unche minaron ko pighla den dha den chalo khak kar den har taraf ek surkhi si chha jaegi zindagi apni manzil ko pa jaegi