nar-o-namrud ka wo qissa to parina hai kya kaha misr-o-kanan ke ta'alluq ki kahani chhedun misr-o-kanan mein kya rakha hai nil ki lahron ke hamrah chale the musa karne gharqab usi nil mein kis ko aakhir aur shaddad wo jannat kaisi kis ke kya khwab the kya makr the kya hile the aao sab dafn karen kohna auraq mein kya rakkha hai lao album wo zara dekhen taswir nai khushbu-o-rang-o-dhanak baadal ki han wahi qarya jo tahzib ka gahwara tha dekh kar jis ka fusun rasta wapsi ka kitne musafir bhule tum ko malum nahin hai shayad uf ye taswir-e-siyah ye siyah-ruh jo tarik guphaon mein raha karti thi panja-e-khunin ne us ke aakhir khitta-e-arz-e-muqaddas ko lahu-rez kiya kya amiran-e-ajam kaise faqihan-e-haram sab ke sab us ki hatheli mein hain band dekh ejaz-bayani us ki munh chhupae hue shahr-e-babul ka sehr phirta hai pattharon ko kiya raushan mashal aur shajar tahni ko udta tair is ajab dhund ajab sehr mein madhosh the sab ki yakayak giri taswir ek aur album se dekhte kya hain ki us khitte ke ek goshe se waris-e-shahr garan-khwab uthe qulba-rani ne jinhen azm-e-musammam bakhsha jism mein thonki hui kilen sabhi noch kar phenk hi din hosh aate hi chale qasr-e-muqaddas ki taraf aur siyah-ruh wo tarik gupha jis ne is qasr-e-muqaddas ko kiya tha masmum natiqa sar-ba-gareban us ka sahiri shola-bayani-o-adakari sabhi gung