nazar mein shaer ke phir raha hai, hara-bhara pur-bahaar jangal wo subh-e-rangin, wo kaif-e-manzar, wo daman-e-koh bindhiya-chal mili thi ek rang-o-bu ki duniya, tamam sahra chaman chaman tha magar wo jannat-nigah wadi bahaar ka mustaqil watan tha khada hua tha gharib shaer, khamosh sahra-e-rang-o-bu mein machal rahi thi sahar ki doshiza shab ke aaghosh-e-arzu mein hon chashm-e-ashiq mein jaise aansu, sitare yun jhilmila rahe the falak pe barham thi bazm-e-anjum, charagh gul hote ja rahe the tajalliyon ki falak se barish thi, zulmat-e-shab bikhar rahi thi ki subh ki sanwli hasina naha rahi thi, nikhar rahi thi nadi mein halka sa tha tamawwuj kahen jise be-qarar ghaflat ki nind mein jaise karwaten le, jawan, bad-mast-e-khwab aurat hawa jo shana hila rahi thi, to maujen hushiyar ho rahi thin tuyur ke mast zamzamon se fazaen bedar ho rahi thin ye kaifiyat thi aur ek jogan sitar baithi baja rahi thi magar wo jangal ki shahzadi bahaar ke git ga rahi thi bahaar ke git ga rahi thi faza mein naghme bikherti thi sukut fitrat ka dad deta tha rukh jidhar ko wo pherti thi wo nind se muzmahil nigahen wo lab pe maghmum muskurahat hazar andaz-e-dil-rubai aur ek masum muskurahat thin nind se rasmasai aankhen aur in mein shokhi machal rahi thi khumar-aluda ankhdiyon mein bahaar ki ruh pal rahi thi qamar ki talat, shafaq ki surkhi, jabin pe subh-e-bahaar khandan nigah aaina-dar-e-manzar, jamal parwarda-e-byaban sitar pe nazuk ungliyan thin, kalai gori lachak rahi thi umangen leti thin dil mein karwat, rag-e-jawani phadak rahi thi sunahre jalwon ki chhut dali jo shah-e-khawar ke taj-e-zar ne talai afshan chuni jabin par malih doshiza-e-sahar ne talai zewar se aur chamki urus-e-manzar ki dilrubai utha jo suraj to dhup nikli hasina-e-subh khilkilai faza ki tabdiliyon ko dekha jo bazm-e-fitrat ki mutriba ne sitar rakkha, uthai gagri, nadi kinare chali nahane wo ja rahi thi nadi ki jaanib main laut kar ghar ko aa raha tha sitar khamosh ho chuka tha magar ye dil gunguna raha tha zamana guzra nuqush-e-mazi khayal se mitte ja rahe hain magar wo naghme 'jamil' ab tak dimagh ko gudguda rahe hain