ye kala parbat aur zar-o-qatar rota hua jharna ye bekal wadiyan aankhon mein aansu liye hue ye pagdandi ka mod aur tum kahte ho viranon mein nai raushni aa gai raushni ki lau mein zindagi aa gai lekin punam ye kala parbat mujhe kuchh dekhne nahin deta khaufnak dhuan meri aankhon ko andha kiye deta hai tumhin kaho main ummid ke sine par jawani ka ubhaara kaise dekhun hasin-o-jamil tamannaon ka shokh andaz kaise dekhun ye kala parbat meri duniya se raushni chhin raha hai lekin kya aisa hona lazmi hai un ki aankhen bhi to kali hain phir un mein athah raushni kyun hai shayad kala parbat bhi aankhen khole to us ki raushni meri aankhon mein sama kar meri nigah ko amar kar de