ab dhup chaDhi diwaron par

ab waqt-e-safar aa pahuncha hai aa mil baithen do-chaar ghadi
jab pahle-pahal tum aae the aaghaz-e-sahar ka mela tha

kuchh kirnen maddham maddham thin kuchh ujla ujla dhundlaka tha
kuchh aisi umangen thin dil mein

jo sarkash bhi masum bhi thin
kuchh hasti bolti nazren thin

jo shokh bhi be-mafhum bhi thin
suraj ki ubharti kirnen bhi yun khel rahi thin pahadon par

jis tarah hawa angaron par
nazren thin meri kohsaron par

phir dhup chadhi mausam badla
haalat ki gardish tez hui

bahar ki faza haijaani thi
andar ke talatum khez hui

kuchh aisi bala ki shiddat se takrao hua tufanon ka
jo qadren thin pamal huin

jo khwab the chakna-chur hue
chand ek lamhe han lekin

farda ke jo khadd-o-khal bane
jo haal se istiqbaal bane

kuchh yaaden ji ka wabaal huin
kuchh zakhm ki jo nasur bane

kuchh ashk jo ghaalib aa ke rahe tufan ke sarkash dhaaron par
tufan ke thapedon mein bhi kabhi

jab mud ke dekha kinaron par
panw the ana ki rakabon mein nazren thin meri kohsaron par

ab din ka mela khatm hua
ab dhup chadhi diwaron par

ab andhiyaron ka mela hai ghaaron shahron kohsaron par
ab rakh chadhi angaron par

ab waqt-e-safar aa pahuncha hai aa mil baithen do-chaar ghadi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close