ufuq ki munderon pe din ka thaka manda suraj khada tha aur us ka badan surkh shaalon ki zad mein jhulasta raha wo chup-chap gum-sum khalaon ko takta raha ek gunga tamashai ban kar yakayak khalaon ki pahnaiyon mein pas-e-parda-e-shab se ek chikh ubhri wo maghrur suraj jo apni takmili shuaon ke zahrile kanton se masum dharti ka sina khurachta raha tha kisi sard patthar ki manind chup ho gaya andheron ki yalghaar se dam-ba-khud rah gaya