khuli kitab ke huruf sharmgin nigah se dekhte hain yun mujhe ki jaise ye nae padosi jaane kab se meri uljhanon ke raazdar hain har ek lafz dard ban ke khalwaton mein gunjta hai raat bhar ye khat bhi ajnabi nahin ye harf bhi nahin ki un ki har nigah mein har ada mein bolte badan ki har sada mein mere ang ang ke liye karb ki pukar hai samaaton basaraton ki bebasi ke bawajud un ki dukh bhari fughan bhi sun raha hun un ke zakhm dekhta hun lekin aah kis qadar azim hai ye alamiya ki main unhen padhun to na-rasai ka ghubar aankhon mein utar den tamam sai-e-qurb duriyon ki zad pe war den junun-e-shoala-numu ko zahr-e-intizar den