pahle aisa hota tha bhant bhant ke bandar shahr ki fasilon par mahfilen jamate the ghar mein kud aate the hath mein se bachchon ke roti noch jate the ab to wo madari bhi khali hath aata hai bhik mang kar ghar ghar ghar ko laut jata hai ab gharon mein chidiyon ka shor kyun nahin hota raat ko koi ullu ped par nahin rota ped par nahin rota ladte ladte chidiyan kyun farsh par nahin girtin billiyan chhaton par kyun ghumti nahin phirtin ab na koi bulbul hai aur na koi maina hai ab na koi titar hai aur na koi tota hai kis se puchhne jaen mor kaisa hota hai toliyan kabutar ki kho gain fazaon mein titliyon ke rangin par bah gae hawaon mein munh-andhere ab murgha bang kyun nahin deta ghar mein koi bakri ka nam kyun nahin leta kya hue darakhton par ghonsle parindon ke koi bhi nahin kahta qisse ab darindon ke nanhe nanhe chuzon par chil ka jhapatna ab dekhne kahan jaen raste mein sandon ka pahron ladte rahna ab dekhne kahan jaen chhipkili ki jiti dum ab thirakti kya paen rang badalte girgit ko marte kahan jaen gae bhains ka rewad ab idhar nahin aata unt tedha-medha sa ab nazar nahin aata ab na ghode hathi hain aur na wo baraati hain ab gali mein kutton ka bhaunkna nahin hota raat chhat pe sote hain bhut dekh kar koi chaunkna nahin hota ab jidhar bhi jate hain aadmi ko pate hain