jab khud shar wahm ban jae to zindagi tut-phut jati hai haqiqat ka zahar hum kisi ki chahat mein pite hain jab sachchai lab par late hain to mar diye jate hain judai ka zina bahut tawil hota hai pul-e-siraat ki tarah muqaddar ka kinara nahin hota taqdir ka shikwa haare hue sipahi key mazarat hai hum nasib kho dene ka gila nahin karte chupke se zindagi ganwa dete hain kisi aahat ke baghair kisi ko batlae baghair apni umr se bada ishq karte hain sab kuchh kho kar tujh mein kho jate hain dil par angaron ka paiwand laga lete hain honton par zanjir latka lete hain jab koi wada kar ke bhi na aae to muskura kar so jaana chahiye nind ishq se behtar hai aur ishq wade se jab koi tanha chhod kar chala jae to dil mahtab ke aangan mein use naqsh kar lena chahiye judai ke sukut-e-gum-gashta mein tum ne mujhe kyon bhula diya abhi to kai fasane baqi the yun achanak madum ho jaana kisi ko diwana bana deta hai itna waqt bhi nahin hota ki judai ka farman sunaya ja sake ya makhdush ko dahliz-e-ranjida mein dafn kar dena qabl-e-rukhsat shab-e-madhosh ke bistar se chandni ki silwaten mita dena ki is shahar ki hawaen bahut dagh-dar hain ab ke bichhadna alamnak hoga kai guzre sanehon key tarah aao tumhein ek nauha suna dun jo ishq key hikayat hai jo dastan banegi un bewafa dahakti galiyon mein