barson ke baad milen hum tum aur biti ghadiyan khwab lagen nazron se milin nazren lekin darwaze dilon ke band rahen banhon ko gale mein dal ke bhi milne ki tadap baqi hi rahe be-tabi idhar be-mehri udhar jab pyar ki baaten bar lagen aankhon se lage sawan ki jhadi aur dil ki lagi kuchh aur badhe jab sine se lag kar bhi un ke rudad-e-judai kah na saken jab hath mein hath diye un ke dariya ke kinare chalte rahen aur fasle badhte badhte jab nadi ke kinare bin jaen jab mazi guzri rah bane bite lamhe bojhal yaaden jab ulfat hath male roe aur shikwe gile bhi khar lagen khwabon se ladi komal kaliyan jab mahke bina murjha jaen rut chahat ki jab bit chuke phir milna kya na milna kya