ab so jao aur apne hath ko mere hath mein rahne do tum chand se mathe wale ho aur achchhi qismat rakhte ho bachche ki sau bholi surat ab tak zid karne ki aadat kuchh khoi khoi si baaten kuchh sine mein chubhti yaaden ab inhen bhula do so jao aur apne hath ko mere hath mein rahne do so jao tum shahzade ho aur kitne dheron pyare ho achchha to koi aur bhi thi achchha phir baat kahan nikli kuchh aur bhi yaaden bachpan ki kuchh apne ghar ke aangan ki sab batla do phir so jao aur apne hath ko mere hath mein rahne do ye thandi sans hawaon ki ye jhilmil karti khamoshi ye dhalti raat sitaron ki bite na kabhi tum so jao aur apne hath ko mere hath mein rahne do