tha darakhton ko abhi aalam-e-hairat aisa jaise dilbar se yakayak koi ho jae do-chaar daliyan hilne lagen tez hawaen jo chalen patte patte mein nazar aane lagi taza bahaar sansanahat hui jhonkon se hawa ke aisi chhat gain hun kahin lakhon hi hawai yakbar rad garja are wo dekhna bijli chamki halki halki si wo padne lagi bundon ki phuwar raat tarik hai aaya hai umand kar baadal main akela na koi yar na koi gham-khwar sard jhonkon mein hawa ke hai latafat aur dil us ka khwahan hai nahin milne ke jis ke aasar aisi bechaini khudaya na ho dushman ko nasib us se bad-tar na kisi ko ho ilahi aazar