ye kaisi lazzat se jism shal ho raha hai mera ye kya maza hai ki jis se hai uzw uzw bojhal ye kaif kya hai ki sans ruk ruk ke aa raha hai ye meri aankhon mein kaise shahwat-bhare andhere utar rahe hain lahu ke gumbad mein koi dar hai ki wa hua hai ye chhutti nabz, rukti dhadkan, ye hichkiyan si gulab o kafur ki lapat tez ho gai hai ye aabnusi badan, ye bazu, kushada sina mere lahu mein simatta sayyal ek nukte pe aa gaya hai meri nasen aane wale lamhe ke dhyan se khinch ke rah gai hain bas ab to sarka do rukh pe chadar diye bujha do