aqlima jo habil ki qabil ki man-jai hai man-jai magar mukhtalif mukhtalif bich mein ranon ke aur pistanon ke ubhaaron mein aur apne pet ke andar apni kokh mein in sab ki qismat kyun hai ek farba bhed ke bachche ki qurbani wo apne badan ki qaidi tapti hui dhup mein jalte tile par khadi hui hai patthar par naqsh bani hai us naqsh ko ghaur se dekho lambi ranon se upar ubhre pistanon se upar pechida kokh se upar aqlima ka sar bhi hai allah kabhi aqlima se bhi kalam kare aur kuchh puchhe akleema