rekhta jis ka bada nam hai kya arz karun ye hamare liye inam hai kya arz karun fal nek is ka hai urdu ke liye apna wajud jis ka faizan-e-nazar aam hai kya arz karun aap khud dekh len kahne pe na jaen mere wo bhi is mein hai jo gumnam hai kya arz karun mera majmua-e-ashaar hai is ki zinat baada-e-shauq ka ye jam hai kya arz karun apni miras-e-adab karte hain kaise mahfuz is ka sab ke liye paigham hai kya arz karun kisi muslim ko na di is ki khuda ne taufiq aap bhi dekh len kya kaam hai kya arz karun ye kutub-khana-e-maruf adab ka 'barqi' aisi ek jalwa-gah-e-am hai kya arz karun