murawwat hai dil mein na pas-e-wafa hai na tirchhi hain nazren na banki ada hai jawani musibat budhapa bala hai ladakpan ko dekho to murjha gaya hai girani se duniya ko bawar hua hai ki apne zamane ka hafiz khuda hai na matke mein aata na dibbon mein dalen batae koi log kis ko paka len ye farman hakim hai kis tarah talen kaha hai gharibon se angur kha len patili hai khali wahan kya dhara hai abhi bhuk se ek chuha mara hai namak par musibat masalon pe aafat qayamat hai indhan pe dalon pe aafat bada gosht mahnga piyalon pe aafat girani hui jine walon pe aafat bacha hai to aafat se baniya bacha hai sar-e-am sab ki girah katta hai sunata hun kapdon ki uryan kahani miyan bhaw par aa gai hai jawani dukan mein gae to hue aan-jahani guzarne laga hai mere sar se pani ki khaddar bhi mahnga bahut ho chuka hai rebate us pe das fisadi rah gaya hai na kapda na roti na lota na dhoti pareshan hai pota bilakti hai poti ki qimat mein gandum ka dana hai moti ye mumkin nahin tha wiladat na hoti har ek samt koh-e-nida chikhta hai jo paida hua mubtala-e-bala hai zamana pareshan hai mahngaiyan hain pareshan hasinon ki angdaiyan hain na sehre na mehndi na shahnaiyan hain dukan-dar lekin bade kaiyan hain jo ration mein paya mayassar hua hai na jaane is aate mein kya kya mila hai