wahi be-tabiyan dil ki wahi phirta hua dariya wahi kachcha ghada hai muntazir sach ke musafir ka wahi shab ki siyah chadar chhupi hain sazishen jis mein azizon ki purane doston ki ham-jalison ki wahi sargoshiyan sail-e-sitam ki wahi manzar jo hota hai hamesha ruh-farsa hadson ka pesh-khema sa wahi sare qarine sare hile hain baham ab ke jo ahl-e-dil ko be-manzil banane ki hain tadbiren magar ahl-e-jahan ko kya khabar kachche ghade par tair kar rah-e-mohabbat mein fana hona alag se ek kahani hai ki ye wo maut hai jis mein baqa-e-jawedani hai mohabbat mar nahin sakti mohabbat ghair-fani hai mohabbat ghair-fani hai