abhi tak mausam-e-gul laut kar aaya nahin kuchh der baqi hai abhi is dard ki chhanw mein sanson ko rawan rakhne ka hila dhundhna hai panw mein mitti ke jute hath mein kashkol-e-jaan sar par kulah-e-gham qaba-e-gard mein lipte badan diwar-e-girya se laga kar baithna hai aur is mausam ka rasta dekhna hai jis ki khatir hum ne apni khak ke zarron se apne ghar banae the abhi kuchh der baqi hai abhi galiyon makanon ki chhaton par dewdhiyon mein khamushi khanjar-ba-kaf pahre pe faez hai yahan is qarya-e-ibrat mein ek qasr-e-buland-o-pur-hashm hai jis ke farsh-e-nilmin par ek amboh ghulaman saf-ba-saf khali suron ko apne sine par jhukae hath bandhe apne aaqa se wafadari ka dam bharta hai hajat-mand masail ki tarah be-wazan lahje mein sukhan karta hai jita hai na marta hai zara dekho zara is qarya-e-ibrat ke qasr-e-pur-hashm se us taraf dekho hawa mahbus hai barg-o-samar se khali pedon ki barahna tahniyon ke sath girhen dal kar bandhi gai hai aur zamistan ki sunahri dhup tukde tukde kar ke shahr ki unchi chhaton par chil kawwon ke liye dali gai hai aatish-e-gul se charagh-e-sham tak jo kuchh dil ushshaq ko wirse mein milta hai asiran-e-furaat-o-sham ke manind zanjir-o-salasil mein piro kar sahab-e-qasr-e-hasaham ke samne laya gaya hai pahra-waron ne dariche khidkiyan aur bhaari darwaze muqaffal kar diye hain aur mausam un darichon khidkiyon aur bhaari darwazon se bahar sakit-o-jamid khada hai bazyabi ki ijazat chahta hai matami rangon mein duba dard ka mausam huzur-e-shah se apne tan-e-nazuk pe barg-e-gul sajaane ki himayat chahta hai bediyan pahne hue lab-basta-o-sakin hawa ke panw mein khushbu ki pael bandhne aur phir use aazad karne ki saadat chahta hai lekin ai kar-e-junun kar-e-numu aaghaz hone mein abhi kuchh der baqi hai