chale the log jab ghar se to ek wade ki takhti apni peshani par rakh kar lae the jis ki gawahi mein safar ko aage badhna tha aur us ke sath khwabon khwahishon ke nam us viran ghar ko aage badhna tha to ek wade ki takhti thi bahut din tak jo raushan thi sarabon mein purani dastanen jagti taza nisabon mein bahut din tak hawa mein sandali khushbu mahakti thi safar mein chandni ghar ki chhitakti thi chale the log jab ghar se bahut manus the har gum-shuda viran manzar se chale the log jab ghar se purani baat lagti hai bahut si kadiyan jaise bich se ab tutti jati hain ruten guzrin hui ab hath se yun chhutti jati hain jaise aayaten bujhne lagi hon sail-e-zulmat mein wo ek wade ki takhti gum hui tufan-e-hairat mein badalne ka koi mausam nahin hota bahut din jab badalne mein guzar jate hain kuchh badle hue ka gham nahin hota