sahife utarne se pahle aur nabiyon ke nuzul ke baad hath se gire hue niwalon ki tarah hamein kutton ke aage dal diya jata raha is darmiyan, aankhon ke niche hum ne apne hath rakhe ki wo paon par na gir paden aur kanch ka e'tibar jata rahe mujhe aag se likh aur pani se uga mitti ke sath insaf main khud karungi wo to qadam qadam kanton ki bad tak khud chal kar gae aag pahnawa karte the jo log aur jo akela tha us ne sargoshi ijad ki aur jis ne qabila chaha us ne chikhen banain aur raat ke parindon mein bant din pardesi hue hath kunjen pakadte rah gae hawa ka bichhauna judai ki ungliyon ne buna aur mohabbat karne wale dil ne sameta kya panw juton ke liye bane the ya manzilon ke liye? phir thakan ne kis ke panw tode aur kaun asir kiya ki us se juton ki qimat puchhe aur insan ke bhaw batae phir e'tibar ne kis ke takhne kate ki wo aasman samet zamin par aa rahe khudawand! bhil qabile ke log gosht khana kab sikhe jab un ke munh ko khun aur dil ko khauf-e-khuda lag gaya phir is ke baad wo sar na utha sake aazadi sirf ek thandi sans thi maqdur-bhar aur ghulami! umr bhar ki rotiyan!!