hazaron sal bite meri zarkhez dharti ke singhasan par biraje dewtaon ke sarape sanwle the magar us waqt bhi kuchh husn ka mear uncha tha himala ki hasin beti unhen bhai brindaban ki dharti par thirakti nachti radha basi thi kirshn ke dil mein unhen bhi husn ki man-mohni murat pasand aai magar un ko khuda hote hue bhi ye khabar kab thi ki un ki aane wali nasl par un ka sarapa bahut gahra asar hai chhodne wala hazaron sal bite magar ab bhi hamari sanwli rangat tera wardan ho goya hamara ham-safar bhi kisi paro kisi radha ka andha khwab aankhon mein basae liye kashkol hathon mein phire basti ki galiyon mein hum ab kis zoam mein puja ki thaali mein diye rakh kar teri chaukhat pe aaen sar jhukaen utaren aarti teri hamare bakht par tera ye shyamal rang ek aaseb ki surat musallat hai hum ab to dar ke mare aainon se munh chhupae phir rahe hain